Al-Haaj
Hazrat Khwaja Shaikh mohammad fazal hussain shah Madari,
qadri, chisti Al-Maroof peer yazdani(rah)
Aap
Ki Paidaish 1915 Mein Rajgadh ka ek chota sa kasba Khilchipur
mein huei. Walid ka naam Haji Subhanji Shaikh Agwan
aur Walida Mauhtrama ka naam Sakina Bi. Aap ki 2 Behne
aur 4 Bhai the.
Aap
ki zindagi pe Hazrat Batakshaani (R.A.) ka bada karam
raha. Bachpan mein ek baar aap ek laahak marz mein muktila
huae. Jis marz ki wajeh se aap ke pehle birather Ibrahim
is duniya-e-faani se kooch kar gaye the. Kuch arsa baad
hazrat bhi isi marz mein muktila huae aur is shadid
marz ki wajeh se aap ke walid aap ko apne Peer-O-Murshid
Hazrat Batakshaani (R.A.) ke paas legaye aur shifa-e-kulli
ki darkhasth ki. Tab Hazrat Batakshaani ne farmaya ke
ye baccha duniya mein kam aur deen mein zyada naam roshan
karega.
Bachpan
se hi aap ka roojhan deen ki taraf raha. Kuch arsa baad
aap ke watan ki masjid mein namaz padhne gaye toh wahan
par Imam ki kirat sun kar woh unki kirat par ashique
hogaye. Ye Buzurg-O-Bartar aage chal kar aap ke Peer-O-Murshid
huae. Dono ki umar mubaraka takriban yaksa thi. Aur
ye is rishte ki zinda misaal hui jab aap ne apne Peer-O-Murshid
ki khidmat mein bait hone se pehle 7 saal aur bait hone
ke baad 2.5 saal guzare.
Phir
aap ka ana mumbai hua yahan akar aap ne mahim me kayam
kiya aur yahi tailoring ka kaam shur kardiya dhere dhere
log inke bare main janene lage aur logo ka majma badhne
laga. Al-Haaj Hazrat Khwaja Shaikh mohammad fazal hussain
shah(rah) ne kafi mureed banaye aur logo ko rahe haq
ki dawat dene ka kaam karte rahe, kuch dino baad aap
ka jana Hazrat Amiruddin Bhai(rah) jo mahim main rehte
the unke sath Bhandup ki ek dargah Sharif jahan Hazrat
Gaiban Shah Baba(rah) ki mazar hai pe hua jab ye wahan
puche to mazar sharif ko dekh kar aap ek dam hairan
hogaye ye wahi mazar sharif the jo in ke khwab main
aksar aya karti thi, jab wahan se wapsi hui to aap phir
aap ne roz ke kamo me lag gaye, kuch dino baad aap ko
usi mazar sharif ke buzurg Hazrat Gaiban Shah(rah) ke
basharaat hui wo khwab main un se kehte hai ki "ab
ek baar to bula liya hai ab baar baar bulana padega
kya",bus
us din ke baad se aap pe Hazrat Gaiban Shah Baba(rah)
ka aisa karam hai ki agar Al-Haaj Hazrat Khwaja Shaikh
mohammad fazal hussain shah(rah) ki bargah se kutta
bhi jata hai wahan to nawaza jata hai(subhanAllah).
Aaj bhi in ke mureeden har sunday ko Hazrat Gaiban Shah
Baba(rah) ki mazar par hazari dete hai.
Please visit for more details... http://www.peeryazdani.org/MainIndex.htm
|