Makkah Gallery   Medina Gallery   Gaus Paak   Madar Paak   Khwaja Garib Nawaz   Nagore Sheriff   Sabir Paak   Waris Paak   Alaa Hazrat

   Indian Dargahs   Intl. Dargahs   Hadees   Namaaz    Silsila    Sacred Sites    Masjid Gallery   Dargah Gallery   Search    Forums    Home   

 Latest News from South Asia :
« »
::: Forums :::
Why should a Non Muslim Revert to Islam
Answer Wahabis
Stories & Waqias
Pearls of Wisdom
Beauty of Islam
Beauty of Rasool
(peace be upon him)
Other Religions
Add New Dargahs
Whats New
Khadim Info
Urs Info
FAQ
 
::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
  

::: Search :::
Indian Dargahs
Intl. Dargahs
By Indian State
By Map of India
Whats New
Search Full Site
 
 
::: Historical :::
Sacred Sites
4 Caliphs of Islam
4 Imams of Islam
Historical Facts
Histories Firsts.
 
::: Articles :::
Allahs Pharmacy - Must Read Article
Kaaba & Kiswah
Women Sufis
Aulia Allah
Real Masjid Al Aqsa
Islam in China
Best Time for Duaa
Harut & Marut
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
Harut & Marut
YA'JOOJ MA'JOOJ
Excuse for Namaaz
Chisty
Sufism
Women in Islam
Ziyarat
  
 
  
::: Contacts :::
Introduction
About Us
Contact Us
Support Us
Advertise
Guestbook
Partners
Resource
   
::: Gallery :::
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
  
 
  
::: Celebrations :::
Bakra Eid
Eid-Ul-Fitr
Ramadan
Rajjab
Shaaban
Kunde
Shawwal
Shab-e-Baraat
Moharram
12 Rabiul Awwal
Shab-e-Mehraaj
Laylat al-Qadr
   
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
About Us
 
::: Whats New :::
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allahs Pharmacy - Must Read Article
  


Biography of Hazrat Sarkare Fazle Rehman

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)

Allah tala ne ye sari kayinat ko banaye to sirf aur sirf apne mehboob Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka martaba logo ko batane ke liye ke mere mehboob mere liye kya hai. Warna Allah ko koi zaroorat nahi thi hum jaise ghunhagaroon ki na to wo hamari ibadat ka mauhtaj hai na hamari kisi cheej ka balki hum uske har tarah se mauhtaj hai. Is duniya ko sajane ke baad usne har waqt hum ko gumrahi se bachane ke liye nabiyon ko bheja jo hame sahi rah dikhate rahe. Aur ek waqt aya ki sare nabiyon ke sardar ka ana hua jin ka nam hi isme azam hai aur har marz ke dawa hai mere aur hum sab ke pur noor jinke liye sari tariff choti hai Hazrat Mohammad Mustufa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka ana hua. Aap din-e-Islam apne sath laye aur puri insaniyat ko anmol tohfa diya Jis se insaniyat aj tak us din ke rehmat se sarabor horahi hai.Ye who din tha jo Allah ko khud sabse zyada pasand tha. Hamare pyari nabi(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke bad to nabuwat ka silsila ruk gaya uske bad Sahaba Karam, Tabayen aur Tabetabayen ne din-e-islam pehlaya aur akhir main Aulia e karam ka silsila shuru hua jo Imam Aul Aulia Hazrat Maula Ali Muskil Khusha(radhi Allah ta'ala anhu)se aage bada. Allah ne apne mehboob ke bad in aulia karam se kam liya jo din-e-Islam ko duniya ke har ek kone me failane ka kam karte rahe hai aur hum ghunhagaroon ko Allah aur uske mehboob Hazrat Mohammad (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)ke sunnato aur nek rah pe chalne ka tarika dekhatey rahey aye hai.

Aaj mai ap logo ko aise hi bakamal buzurg Gaus-e-Zaman, Kutub-e-Dauraan, Imam-e-mujaddine Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bare mai batane wala hun jinki puri zindagi logo ko rahe haq aur ishq-e-Mohammadi (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki talim dete hue guzar gayi. In Buzurg ke bare main jo bhi likha jaye kum hai. Ye wo buzurgi rakne wale buzurg the ki jinka taskara arsh se farsh tak har jagah hota tha.


Inki Buzurgi aur ishq ka ye aalam tha ki jab chahte Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)ka didiar karlete. Hazrat Waris Ali Shah Jinke Mazar Sharif Barabanki Main hai wo to ye farmate hai ki Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) wo buzurg hasti hai ki jinhone ne kabhi bina Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko puche mureed hi nahi banya. Ab aap log khud andaza laga sakte hai ki kya martab hoga Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih). Aulia Allah apni sari zindagi nikal dete hai bus ek baar didar-e-mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)ke liye aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka martaba to dekhiye ki jab chahte Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka didar karliya karte the. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bare mai kaha jata hai ki ye jab jisko chahte Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke bargah me khada karte the aur didar kara dete(SubhanAllah).

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmya ki darse nizami wa fiqah wa usool wa kalam waghaira ke takmil hamnai bahrul ullom Maulana Mohammed Noor Sahab Firangi Mahal se ki unke walid Maulana Mohammed sahab(rahmatullah alaih) ne jane kya dekha ki masnad par humko bithate apni khushi se bashfkat puri baizavi phir hidaya mukamal padaye. Tafseer fikah ka hum kabhi ded juz aur kabhi do juz padhtey ye khuda ki den thi ki humko un musanifane kutub se faiz ata yahan tak ki "Yusuf Jhuleka" padhtey waqt Hazrat Yusuf(alalih salaam) se faiz aya karta.

Huzoor ala (rahmatullah alaih) ne farmaya ki pehli baar 1221 hijri main delhi apne murshid ki khidmat main mureed honegaye baad bayat khwaish husool hadees bataye, murshid sahab ne duain dekar ijaazat bakshi, awwal roz Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih)ki khidmat main padhne ke liye gaye to apne aam talba ki tarha tawajo rakhi baad dars us shab ko hum bhookey pade rahey, magar usi shab ko Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) sahab ne pata nahi kya dekha ki subha tadke ek admi humko bulane ko bheja magar hum baad magrib ijaazat murshid lekar gaye, Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) bakamaal shafkat pesh aye ye hidayat ki aaj se shyam ka khana hamre sath hi khaya karo, phir hum isha baad se tahajud ke waqt tak padha yahi waqt darse hadees hogaya. Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) sahab apne damad Hazrat Sayed Zahirudine Shaheed ke siwa aur kisi ko sharikh dars nahi kartey. Bhukhari Sharif 18 pare ek waqt main padhkar hamne khatam ke apne bohat duain di.

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi (rahmatullah alaih) ne farmaya ki ek din Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) se unke damad ne kaha ki isha se tahajud tak Maulvi Fazl-e-Rehman ko padhane ke bajaye koi aur waqt mukarar kardain.Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki sabse (ahleda) alag Maulvi Fazl-e-Rehman ko padhane ka raaz hai ki wo tawajohate Risalat(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) se padhtey hai, unko barabar Huzoori Risalat(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) rehne ke sabab main bhi ye mehboob rakhta hun ki meri bhi raatain Hadees Quran Khani se Huzoor Risalat(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) main guzare, fakat tumko isi sadat yabi ke liye bithata hun,halaki tum kabhi kabhi shirkat karte ho warna main to chata hun ki tum Maulvi Fazl-e-Rehman se ilm hasil karo kyunki unko bafaiz Mustuafai(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) Ullom ata horahe hai.

Sab kuch Rasool-e-Khuda(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) se Fazl-E-Rehman puch lete hai aur pa lete hai warna is tarah raat bhar kaun pada karta hai aur kaun pad sakta hai.(SubhanAllah) Kya martaba hai mere sarkar apka.


Introduction Of His Pir : Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) ke mureed aur janashine khalifa the. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka khooni rishta in salasil ke buzurgo se hai Qadri, Chisti, Nakshbandi, Shorwardi, Arabiya aur aap in hi silsile me logo ko bayat karte the. Apke Pir Sahab ne apko Silsila-e-Madariya ke talim bhi di thi, Par apne silsila Naqshabandiya ko sabse zyada pasand kiya.

Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih 1160 hijri mai paida hui they. Aap Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rahmatullah alaih) se murred hue aur bad mai unse hi khilafat hasil hui. Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rahmatullah alaih) ke parde ke bad ap ne apne aage ke talim Hazrat Mir Dard(rahmatullah alaih) jo khalifa the Hazrat Mohammad Nasir Andalib(rahmatullah alaih) ke aur unke hi bete the aage ki taalim ap ne inhi se li.

Allah tala ne Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ko kubule aam farmaya tha aur unko Sher-e-Aafaq banadeya tha. Delhi se Kabul tak logo ne Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) se faiz uthaya khud Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) Kabul tashrif le gaye aur Zama Shah Shah-e-Afghanistan ko murred banaya.

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki hamrey Pir Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) 10,000 martaba durood sharif aur 50,000 martaba kalmaye tayab roz padte they. Aur 10 se 12 kuran sharif tahajud me padne ka mamul tha. Aur 10 Quran Sharif ke pare itne der me padte ki logo ko lagta ki ek para hi padha hoga. Aur 5 times salato tasbhi padhte. Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) bahut narm dil aur mohabbati the. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman

Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki un ke Pir sahab Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) sari baatien sunnat ke mutabik hi karte the. Shah Ghulam Ali dhelvi (rahmatullah alaih) aksar apne mureedon ko talim ke bad Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ke pas talimat ke liye bheja karte the.

7 moharam 1251 Hijri ko Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ka is duniya -e-fani se parda hua. Aap ke mazare sharif Delhi main Mughalpura, Golden Jaipur Transport, Roshan Azad Road,Pulbangash metro station ke pass hai. Hakikat mai ye jagah par rehmat wo noor ki barish dikhti hai aur zahir mai ek aam jagah se lagti hai.


Bayat Wa Khilafat:

Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) apne waqt ke bohat buland martabe wale shaksiyat thi aur bohat paye ke wali thai, jab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) inke pass bayat hone ke liye aye to inhe pehle se pata chalgaya tha ki ane wali zaat kaun hai aur kis bulandi par fayaz hai, aap ne apne khulfa wa mureedon ko Hazrat Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka khair makhdaum karne ke liye dur tak rawana farmatey huye kaha ki mere pass ek aise hasti arahi hai jiski mureedi mere liye baaise fakr hoge, Aisi shaksiyat ka zahoor kai sadiyon ke baad hua karta hai, Hazrat Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) hazir bargahe karam huye to Hazrat Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ne age badhkar sine se laga liya aur phir kaun keh sakta hai ki andaze mohabbet main kya kuch nahi ata kardiya, yahi nahi balki bayat karne ke baad apne ghar lejakar apni sehzadi saheba aur damad Hazrat Maulana Shah Abdul Gani Sahab(rahmatullah alaih) se farmaya ki Maulvi Fazl-E-Rehman ko nazr pesh karo ye wo hai jinko hasil karne ke koshish bohat se Buzurgon ne ki par Allah ne ye khas karam hum par farmaya. Inka hamain bohat intezar tha aur tamam alam inke daryae faiz wa rehmaton nemat se sayrab hoga.

Hazrat Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne ek arsa apne Pir ki khidmat main guzara aur unse faiz hasil karte rahey aur fuyuz bataini aur barkate roohani se kalb aur rooh ko munawar karte rahey, phir kuch waqt baad khilafat ka taaj hasil kiya aur phir apne Pir Sahab ke hukum se watan wapas akar hidayat ka kaam anjam diya.

Khandan-e-Fazl-E-Rehmani(reh) : Walid Ke taraf se Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) 31st generation main Hazrat Abu Bakra Siddique(radhi Allah ta'ala anhu),se jake milte hai. Aur walda de taraf se apka rishta Hassani wa Hussani Sayed hai. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke walid ka naam Makhdoom Ahlullah Miya (rahmatullah alaih) hai aap ka nikah Mohtarama Basirat bibi Sahiba se hua. Jo Hazrat Rehmat-ullah shah(rahmatullahalaih) ke beti hai. Hazrat Rehmat-ullah shah(rahmatullah alaih) dadhiyali taur se aulad e khas Hazrat Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi(rahmatullah alaih) se hai. Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi(rahmatullah alaih) ka nasbi taluk Hazrat Sayed Nasiruddin Chiragh Dhelvi (rahmatullah alaih) aur Hazrat Sayed Shahbhuddine Soharwardi(rahmatullah alaih) wa aulad Khwaja-e- Khwajgan Hazrat Sayed Bahauddin Nakshbandi (rahmatullah alaih) se hain.

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi (rahmatullah alaih) Mallawan Sharif Ke Rehne Wale the, aap ki paydayish bhi Mallawan Sharif main hui thi. Mallawan district unnao (U.P) main ek kasba hai jahan par Maulana Shah Fazle Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke dada Huzoor Hazrat Makhdoom Misbah Piya urf maggan miya(rahmatullah alaih) ki mazare akdas hai.

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) ki mazar sharif ka link ye hai:

http://www.aulia-e-hind.com/dargah/MallwanShariff.htm

Hazrat Maulan Shah Fazl-e-Rehma Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) in ki 9wi pusht(generation) main ate hai.

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) ki paidayish 810 Hijri main hui thi, ap Panipat main paida huye thai ibtedaye shabab main ap multan jakar shaikh ul islam Hazrat Bahauddine Zakariya Multani(rahmatullah alaih) ki khanka main rehkar Maulana Mohammed Hussain(rahmatullah alaih) se uloom dars sikha aur Haj se musharaf huye. Kuch waqt ke bad apne talsh-e-murshid shuru ki aur is silsila main mashrik ka rukh kiya aur Lucknow main Maulana Aazam Saani(rahmatullah alaih) aur Hazrat Shah Mina Shah (rahmatullah alaih) ki sohbat main kuch waqt guzara phir awadh main Shaikh Ahmed Sarthi(rahmatullah alaih) ke khidmat main manzile sullok teh kiya aur silsila chistiya main bayat huye iske baad ap key shaikh ki ijazat se hi Hazrat Shaikh Jalaludine Gujrati(rahmatullah alaih) jo Pandva, Bengal main thai unki khidmat main pahunche aur unse age ke sabak hasil ki aur ek roshan zammer wali Allah bangaye aur kuch din baad khilafat se sarfaraz huye.

Hazrat Jalaluddine Gujrati(rahmatullah alaih)ne unko Mishbahul Ashquine ka lakab diya, Kuch waqt ke bad Hazrat Jalaludine Gujrati(rahmatullah alaih) apne har mureed ko Misbah Piya(rahmatullah alaih) ke supurd farmatey aur unke hath Kharke Khilafat ata farmatey. Apne Murshid Sahab ke pardey ke bad ap ne Pandava Chod diya aur Bihar main kuch waqt rahey wahan logn ko mureed kiya us ke bad apke murshid Sahab ne hayati main jo hukum diya tha us par amal kartey huye magrib ki taraf rookh kiya aur 881 Hijri main Mallwan Sharif tashrif laye, Yahan apne din-e-islam failaya aur kafi log ko iman ki dolat se nawaza aur gumrahi se rahe haq ki taraf mod diya. Apka parda 939 hijri 1 rajab ko hua tha tab apki umar akdas 123 saal thi.

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) ke bare main ye kaha jata hai ki ye ishq-e-nabi main aise dube hue the ki in ki surrat(face) mubarak puri tarah hum sab ke pyar Huzoor(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) se milti thi is wajah se kafi Aulia Allah ap ke ziyarat ke liye ate the. Aur ap ke jalal ke kya baa tap jis darakht(tree) ko dekhlete the wo suookh jaya karta tha Allah ho Akbar. Is par aap Allah se kehte is me mera koi kasoor nahi hai ye bhi teri diye hui sift hai.

Hazrat Shah Maulana Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rehmatullah-alahi) ki 3 shadi hui thi pehli Mallawan sharif main unse apko do sahab zade huye awwal Shah Abdur Rehman Sahab(rehmatullah-alahi) dusre Shah Abdur Rahim Sahab(rehmatullah-alahi) huye. Awwal sahab zade ki aulad kamsini main faut hogaye. Dosre betey ke 2 ladke huye awwal Shah Tabarak Hussain(rehmatullah-alahi) dusre Shah Hameed Hussain(rehmatullah-alahi) phir ek dukhtar huye, kuch roz baad apki pehli biwi ka parda hogaya. Ise bich ap ko mallawan ke log bohat pareshan karne lage din ba din taklif badhne lagi, phir apne sunnat-e-Rasool(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ada karte nazar aye aur hijrat karte huye ap Gunjmuradabad Sharif tashreef laye aur yahin sakunat ikhtiyar ki yahin apne dusri shadi ki jis se Silsila-e-Fazl Rehmani age badha.

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke dusri biwi se 2 sahab zade hue Pehle Ka Naam Hazrat Maulana Shah Ahmed Miyan Sahab (rahmatullah alaih) jin se Silsila-e-Rehmani Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ke parde ke baad aage bhada, aur dusre beta ka naam saidu baba tha jo ki paydayshi mazoob the, aur ek ladki huye jinka naam Shafkat Bibi tha. Hazrat Ahmed Miyan Sahab(rehmatullah alaih) ke 2 betain hue Hazrat Maulana Shah Rehmatuallah miyan Sahab(rahmatullah alaih) jo ki apne waqt ke Abdaal guzre hai aur jo ki gaddi nasheen bhi thai Hazrat Ahmed Miyan Sahab (rehmatullah alaih) Ke Baad dusre baiten Hazrat Maulana Shah Nematuallah Miyan Sahab(rahmatullah alaih) jo itne sakhi the ki agar raste main koi bina Kapde dikhaye deta to apna kapda Utar kar use de dete the.

Hazrat Rehamatuallah Sahab(rahmatullah alaih) ki aulad bachpan main hi parda kargaye thi. Hazrat Nematuallah Miyan Sahab (rahmatullah alaih) ke 2 shadi hui pehli biwi se Hazrat Maulan Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih), aur dusre Hazrat Maulana Shah Mohammad Miyan sahib (rahmatullah alaih).

Aur dusri biwi se Hazrat Afaq Sahab(rahmatullah alaih), Hazrat Fazlu Miyan, Hazrat Rafiq Miyan. Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih), aur Hazrat Shah Mohammad Miyan (rahmatullah alaih) ko baad main Hazrat Shah Rehmatuallah Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ne god leliya, aur Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) aur Hazrat Shah Mohammad Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko sari talimat zaheri wa bateeni dilane ke baad apna ja nashein banaya aur silsile Fazl-e-Rehmani ko age badhane ki zimmedari un ke khandon par de aur Hazrat Shah Afzalur Rehman(rahmatullah alaih) ko gadi nashien banaya. Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) ne bhi ye zimedaari bakhubi nibhai aur silsile Fazl-e-Rehmani ko duniya ke hark kone me phailaya, un ki buzurgi ka bhi kya kehna tha unka jina hi tha ishq Fazl-e-Rehman ke liye aur raza-e-Sarware kaunain(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) aur Allah ke liye tha. In hone ne apni zindagi main bahut se karishme dikhaye hai, jinhe bayan karne ke liye ek alag bab likhna hoga inki zindagi par. Hazrat Mohammad Miyan Sahab(rahmatullah alaih) bhi bahut kamala ke buzurg guzre hai in ki sari raat ibadat aur riyazat main guzarti thi, ek baar aap ne apne ek mureed ko jo haj pe jane ka kwahish mandh tha par malihalat thik na hone ki wajah se nahi ja pa raha tha usko Kaba Sharif aur Madina Sharif apne hath mubarak main dikha diya tha, in hone ne bhi silsile Fazl-e-Rehmani ko khub Failaya.

Ye faiz Fazl-e-Rehman hai ki unke khandan ke har bachha noori hai. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) par Allah ke Habib ka kuch khas hi karam hai ye unki hi dua hai ke aj jahan bht se khankaon ke khadani chirag bhujte nazar arahe hai wahi khandane fazl-e-rehmani ki chiragh jagmaga rahe hai aur InshAllah qayamat tak jagmagate rahe gai aur logon ko rahe haq ki dawat detain rahenge aur unke gunahon se nijat delate rahenge.

Waise to is khandan har bachha wali hai bus us ko Ishq Ilahi ki aag main apne aap ko ek baar dal dena hai aur fazl-e- Habib(sal-lal-laho-tala-alahi-wasalam) ke sadke noori ban ke nikalna hai. Jis Jis ne aisa kiya aur fanaiyat ki taraf rukh kiya who faiz pata gaya aur faizane Fazl-e-Rehmani ke sarparsti main najat patagaya aur dosre ke liye bhi najaat ka zariya banta chala gaya. Ye khas dua ki tha Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) ne apne parde ke waqt aur Allah ne isko kabul bhi kiya.


Shijra Khandane Nasab:

Hazrat Sayyedina Abu Bakr Siddiqui(radiallahutala anhu), Hazrat Imam Mohammed, Hazrat Sayeedina Imam Qasim, Hazrat Abdullah, Hazrat Shaikh Mohammed Hadis, Hazrat Shaikh Mohammed Sabit, Hazrat Shaikh Fakhrool Islam, Hazrat Shaikh Abdullah Rumi, Hazrat Shah Ahmed Kala, Hazrat Shah Mohammed Joun, Hazrat Shah Fakhiudine, Hazrat Shaikh Abu Bakr, Hazrat Shaikh Ahmed Sufi, Hazrat Shaikh Shahbudine Makki Zahid Shaheed (Imam Haram), Hazrat Fakharudine(madarzaat wali), Hazrat Makhdoom Udham Dana, Hazrat Makhdoom Shahbudine Sani Zahid Bihari, Hazrat Makhdoom Shah Mohammed Dawood, Hazrat Mohammed Makhdoom Shah Maghan , Jadeala wa Makhdoom Ala Hazrat Misbahul Ashiquine, Hazrat Makhdoom Hafiz Abdur Raheem Urf Bandegi Miyan, Hazrat Mulla Abdul Latif, Hazrat Maulana Noorullah, Hazrat Shah Saudullah, Hazrat Makhdoom Abdul Qadir, Hazrat Mulla Barkatullah, Hazrat Mulla Mohammed Faiyaz, Hazrat Shaikh Makhdoom Ahlullaah Miyan, Hazrat Maulna Fazl-E-Rehman Gunmuradabadi.

Biography : Buchpan Se Shauk-E-Riyazat :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke paidayish 1st Ramzan-ul-mubarak 1208 hijri main hui thi. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka buzurgi ka andaza is baat se laga sakte hai ki in ke naam ka aur in ki paidayish ki adad(total) ek hi hai 1208. Aap ke paidayish ke waqt lag raha tha ki har jagah noor ki barish ho rahi hai. Aap ne pure Ramzan-ul-mubarak ka mahine apni maa ka dudh magrib ke baad hi piya, din bhar aap auron ki tarah roze se rehte(SubanAllah) Bachpan se hi allah ki yaad me magan rehte aur aksar tanha rehna pasand karte. Jab bacche inhe khelne ko bulate to wo un se kehte ki main is liye nahi paiyda hua hun.
Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) Khalifa Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) Mallawan me raha karte they ek din Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne pucha Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) se ki ap aksar garden kyun jhuka liya kartein hain. Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) ne jawab diya ki beta zikre ilahi karta hun. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne kaha ke mera bhi ji chahta hai ke mai bhi zikre ilahi karun aur Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) se kaha ki wo unko bhi sikha de zikre ilahi karna ye baat tab ki hai jab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke umar sirf 3 ya 4 sal kit hi. Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) ne unko talim dena shuru kiya chand hi mahine me aahate kuwat ruhani Maulvi Haider Ali shahrahmatullah alaih) ke hat se bahar hogayi to miyan Haider Ali shah(rahmatullah alaih) ne delhi apne murshid ke khidmat mai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko bhej diya. 9 sal ke umar bhi nahi hone payi thi ki walid ka saya Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke sar se uth gaya, aap ki walda ne uske bad apki parwarish ki, aap bhi khub dil laga ke ullom wa din hasil karte rahein.

Miracels: Karmate Buchpan :

1) Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) khud irshad farmate hai ki humko bachpan mai hi Huzoor Mohammad Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)aur Sahaba-e-Karam(Radi Allahu anhu) ki ziyarat aksar hua karti thi. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-RehmanGujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko bachpan se kubuliyat amaa hasil rahi. Insaan to insaan Haiwan bhi ap ke ghulam the. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki Bachpan mai humne kabutar pale ek kabutar ko billi(cat) le bhagi Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne billi(cat) se kaha chod de ushi waqt billi(cat) ne kabootar chod deya.

2) Ek bar ek bhediya ek chote se bache ko uta kar bhag rahe the sab log us bhediya ke piche bhage bache ko bachane jab wo bhediya ka guzar Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke samne se hua to Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne us bhediya ko ghur ke dekha bus itna karma tha ki wo bhediya wahi bache ko chod kar bhag khadi hui. Us waqt bhi Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki umar 4 se 5 saal ki hogi.

3) Ek bar Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) logo ke bahot zid karne par shikaar par gaye bahut der pareshan hone par bhi logo ke hath koi shikaar na laga. Bahut dur logo ko hiran(deer) ka tola(group) ate hue dikha logo ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se nishana lagane ko kaha Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne nishana to nahi lagaya par buland awaz se hirano(deer) se mukhatib kiya aur farmaya ki tum me se ek hiran(deer) mere pass ajaye aur baki wapas chale jayee ye sunte hi ek hiran dauda chala aya log khus hogaye aur hiran ko zinda hi ghar le jane ki tayari karne lage. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne logo se farmaya ke is din hiran le yahan ake tumlogo ka dil rakh liya ab tum log is hiran ko azad kardo. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) yeh baat sun kar logo ne hiran ko azzad kardiya(subhanallah).

Ye kuch karamat thi Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) agar unki buchapn ki karamat hi likhne pe aoo to page kam pad jayege.

Hurane Bahist Ka Salam :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ek bar wo tifli mai apne kothe(terrace) par baithe hue the ki bahar se logo ne shor machaya ko khote par aurate kaise khadi hai phir thodi dir me sab gayab hogayi(subhanallah) kya madarzat kutbiyat wa alwaye muratib thi ki buchpan se hi hoorein salam ko atei thi.

Nisbat-e-Mustafai(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka Ishq Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) se kuch aisa tha ki lafzo main bayan nahi kiya ja sakta hai unki har ada hi Raza-e-Mohammad (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) thi. Unka uthna bolna baithna chalna yahan tak ki sans lena bhi Ishq-E-Mustafa mai tha(subhanallah). Aap Farmate ki jin galiyon se Mohammad Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) guzre hai un galiyon ke kuchon ko main apni palkon ke baharun. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki ek bar unki Zaujaye Hayat(Wife) un ke sath baithe hue the to hamare pyare Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) tashrif late hai ek pir zada Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke khidamt mai tashrif laya to Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko dekhte hi behoosh hogaya hosh ane ke baad Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ne pucha ki arey bhai behosh kaise hogaye to us pir zade ne jawab diya ki Huzoor (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke Jamaal se behosh hogaya to Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ke bus ek hi jhalak main ye haal hai.
Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki ek Bar aap ne Hazrat Maula Ali Mushkil Khusha(Radi Allahu anhu) ko dekkha who mujhse farmate hai ki andar ajaao mujhe badi hichak lagi phir aapne dubara kaha to mai adban andar aagaya to wahan Hazrat Khatoon-e-jannat Maa Fatima(Radi Allahu anha) ko dekha unhone mujhe beta kehkar apne sine mubarak se lagaleya aur aksar unke khwab me didar deti. Hazrat Ayesha Siddiqa(Radi Allahu anha) bhi isi tarah Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ko chahti thi aur jab bhi Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) bimar hote to ap unke paas tashrif lati tashrif lane par fauran Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki tabiyat thik hojati (SubhanAllah).

"Ek ye gahr hai ke goya maktabe Jibrile"
Warna Din-e-Madarse mai mausami talim hai"

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne irshad farmaya ki ye wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)aksar tashrif late the aur Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ne is masjid main namaz bhi padhi hai (SubhanAllah). Jo koi is masjid main kadam rakhega uski akbat bakhair hogi. Dada Miya Rehmatuallah Miyan Sahab jo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai Yahan Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau), Hazrat Nizamuddin Aulia(rahmatullah alaih) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late the. Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri(rahmatullah alaih) farmate hai ki unhone khud masjid Fazl-e-Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rahmatullah alaih) aur Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau) ko tashrif farma dekha hai.
Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par majboor hojata hai ki

"Nabi Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main,
Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehman, Fazl-e-Rehman Ki,
Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe,
Janab Fazle Rehma Mai Hai Panah Dekhne Wale" (SubhanAllah).


Basharat-e-Mustafai (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rahmatullah alaih) jo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke mureed the farmate hai k eek bar wo bahut pareshan the ki akhirat mai unka anjaam bakhair hoga ki nahi ye baat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) apne kashf se malum karli. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rahmatullah alaih) se farmaya ki ek baar un ko bhi yahi ahsas satane laga tha ki akhir unka akhirat mai kya hoga, bus itna sochna tha ki, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ko Hamare pyare nabi(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke basharat hui aur hamare pyare nabi(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se farmaya kit tum kya Fazl-e-Rehman jo tum se mohabbat karega uska bhi anjaam bakhair hoga.


"Nakirine(maut ka farishta) puchte hi the ki itne me nida aye,
Ise mat chedo ye dewana Fazl-e-Rehman hai" (subhanallah).

"Kiska Muqaddar Sajil Hai Ki Pahonche Tujh Tak
Kaun Jane Kahan Tak Hai Wilayat Teri"

Shariyat Ke Bina Kuch Nahi :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) Sunnat ke sakth paband the. Aap Hamesha Hanfi Musale se itefaq rakhte the aur hamesha awal waqt jamat se 5 time namaz ada karte the. Aap farmate the ki sunnat hi gausiyat aur kutbiyat hai. Aap ne ye bhi farmaya ki Gaus ho ka Kutub jo khilaf-e-shara kare wo kuch bhi nahi. Durood Sharif Ke ahmiyat me farmate ki bakasrat(always) Durood Sharif pada karo. Mujhe jo bhi mila Durood Sharif se hi mila.

Quran-E-Pak Ki Lazzat :

Maulvi Tajamul Hussain sahib likhte hai ki ek roz Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) Quran Sharif ki tilawat kar rahein the achanak unpe kaifiyat tari hogayi Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne Maulvi Tajamul Hussain sahib se farmaya ke jitna lutf mujhe Quran Sharif padhne main ata hai us ka zar-raa(thoda) barabar bhi agar tumhe ajaye to tum hamari tarah baith na sako aur apne kapde phad kar jungle main nikal jao. Uske bad Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne ek aah li aur apne hujre(hut) main chalegaye aur kai roz tak bimar rahie Kaifiyat tilawat-e- Quran Shariff ke wajah say.

Karamat-e-Fazl-e-Rehmani: 1) Maulan Ahmed Raza Khan Urf Ala Hazrat (rah) Mulakat Ke liye Aaye :

Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ramzan-ul-mubarak ke mahine main Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se mulakt ke liye aye jab aap Gunjmuradbad sharif pahuche to aap ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke chahne wale se arz kiya ki who Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se milna chahte hai chahne wale ne Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko is baat ki itela ki. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne ghulam se farmaya ki Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) se kehdo ki who ek Fakir ke paas kya lene aye hai un ke walid aalim unke dada aalim, aur wo khud bhi aalim, chahne wale ne Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) se majra bata diya Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne phir gujarish ki is bar Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unko bula liya milne ke baad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se Milaad Sharif Ke bare main pucha us par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rehmatullah alaih) ne unse pucha ki tum Milaad Sharif ko kya samjhte hain is par Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne jawab diya ki main Milaad Sharif ko Mujtahab janta hun is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unse kaha ki main Sunnat manta hun Kyunki Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) jo jehad main tashrif lejate thai wo apne ahlo ayal se kya kaha karte thai yahina ki Makkah mauzma main Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) paida hey. Allah jalle shanahu ne in par Quran-E-Pak utara, Unhone yeh mojazey(miracel) dekhlaye Allah tala ne inko ye fazail ata farmaye Majlis-e-milad main bhi yahi sab bayan hota hai farq itna hai ki tum apni mehfil main Laddo batate ho aur Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) apne sar(head) batate tahi. Us ke bad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne farmaya ki kuch nasihat karne ko Is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki Takfir(matlab kisi ko kafir kehna) main jaldi na kiya karo is par Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne dil main socha ki main to un logon ko kafir kehta hun jo Huzoor Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke bargah main gustakih kartey hai ye bat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko kashf se pata chal gaye is par apne Ala Hazrat(rahmatullah alaih) Kaha ki han han jo adna harf gustaki(matlab ek dum mamuli se) Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki bargah main kare bila shubha kafir hai.
Uske Bad apni kala(topi) Mubarak unko de di aur unki le li. Ye tarika Sufiya main faiz ata karne ka tarika hai. Aur ye irshad farmaya jise kisi sayar ne bakhubi kalam bandh kiya hai. Aj bhi ye Topi Mubarak Bareli Sharif main Ala Hazrat(rahmatullah alaih) ki mazar Sharif ke andar jo taburakat rakhye huy hai us main bht hi adban Sambhal ke rakhy huye hai.

"Aapni topi tujhe de di teri od li
Hazrat Fazle Rehma aur yun kahein
Noor par Noor ata hai tujhme nazar
Sayedi Murshedi Shah Ahmed Raza"

Qurban jaye Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke sakhsiyat par ki ap kitna dikhte the aur aap Aashiq-e-Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko kaise nawazte the.
Aur kaisa nawaza hai Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ko ki aaj duniya bhar main log unke diwane hai aur silsila Ala Hazrat(rah) kaisa phal aur phool rahaa hai ye sab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke daine hai.

"Yahan Par Apne Paraye Ko Deka Nahi Jata
Bata Karti Hai Yahan Par Muft Daulat Fazle Rehma Ki"

Mere Peer Sahab ne Is Baat Par ek Sher Likha Hai

"Mana Ki Sab Kuch To Waliyon Ki Hateli Main Hai
Aur Fazle Rehma Ne Jinko Chamka Diya Wo Bareily Main Hai".

2) Kaba Sharif Ka Khud Ana :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) apni walida ke sath akele raha karte the ek din aap ka dil hua ki aap bhi Haj kar aye jab aap ne apni ammi se ijazt mangi to unki walda ne unse kaha ki main itne zaiyef (old) hogayi hun. Agar tum Haj pe chale jao ge to mera khyal kaun rakhega. Baad main kabhi chalejana ye sunkar aap ne jana cancel kardeya sirf apni walda ke raza ke Liye. Jab raat mai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) apne hujre main lete huey they tab apne kya dekha ki Kaba Sharif Unke Samne Khada aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) dedar karlete hai(SubhanAllah) is wakiya se ap log jan sakte hai ki akhir Allah ne kaisa banaya hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki zaat-e-pak ko.

3) Namaz Main Kaba Sharif Samne Ana :

Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) jin ki mazar-e-akdas barabanki (u.p) main hai bahut paye ki buzurg guzre hai wo Hazrat Maulana Shah Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke nanihali(mother side) taur se rishtedar bhi lagte hai. Hazrat Waris Ali Shah(rah) Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko chachajan kehte aur aksar Gunjmurabad sharif aya karte the. Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) kaha kartey thai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) bina Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) se puchey mureed hi nahi bante thai aur jis murred ko chatey Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) ki bargah main khada kar dety thai(SubhanAllah) kya zate Pak hai .

Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) namaz nahi padte the jis wajah se un ke mureed un par barabar akidat nahi rakhte the. Ek din jab Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) apne mureedon ko sath Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke pass mulakat ke liye aye to Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ne unse kaha ki aaj wo unke sath namaz padhe is par Hazrat Waris Ali Shah(rah) ne kaha bilkun Aap ke piche namaz ke liye kaun mana kar sakta hai. Namaz ke liye jaise hi logo ne niyat bandhi. Sub log kya dekh te hai ki woh saare log kaaba sharif ke saamne khadhe hai. Jaise hi salam phera gaya kaaba sharif nazaro se ja juka tha ye majra dekh kar sab log hairanhogaye.Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullahalaih)ne Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) ke mureedo se farmaya ki "Tumhara PEER koi mamuli PEER nahi hai, dekha apne peer ka martaba roz apni namaz kaaba sharif me padhte hai. Ye sun kar mureedo ko apni galti ka ahsas hua,aur un logo ne Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) se maafi mangi. Is par Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) muskuraye aur Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se farmaya ki aaj apne jo raaz maine barso se chupa rakha tha aaj apne khol diya .


Is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki apko aaj namaz padhne mein kaisa lutf aaya?

Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) ne us par farmaya ki Chachajaan

"Aise Namaziya Agar koi Padhaye to hum roz Padhab".

4) Dubte Jahaaz Ko Bacha lena :

Ek baar bahut se Huj-jaje-karam(Haj Karne Wale) Pani ke Jahaaz se Haj Karne Jaa rahee the,achanak Samandar main bahut bada tufan aya us jahaaz par bahut mureed Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bhi the jahaaz dubne wala tha ki sab logo ne apne peer sahib ko yaad kiya bus mureedon ka unko yaad karma hi tha aur unka madad ke liye anaa tha. Sare Mureedon ne dekha ke un ke peer-e-kamil ne jahaaz ko khanda dekar bawar se nikal diya aur sab ko bacha liya is tarah sab mureed haj kar aye bakhairiyat se.

"Bacha Sako To Bacha Lo Ki Dubta Hun Main
Tumhi To Ho Jise Kehte Hai Nakhuda-E-Duniya".

5) Logo Ko Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) Ki Bargah Main Khada Kardena :

Ek baar kuch aalim baithe hue the aur hadis-e-pak ka zikr kar rahein the.
Tirmaji Sharif ke koi hadis par bahesh chidi thi jab baat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ko pata chali to apne logo ko sahi hadis bataye is pur kuch ulma aitaraz karne lage bus kya tha Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) jalal me agaye aur sab logo ko ankhen band karne ko kaha jaise hi logo ne ankhen bandh ki sab log apne ko bargahe Risalat(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)me dekhte hai. Huzoor Pur Noor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)Farmatein hai ki ye hadis sahi hai aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) jo hadis farmatein hai wo bilkul sahi hoti hai kyun ki har hadis ki sehat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne hum se ki hai. Ye sab dekhne ke baad sare logo pe ek ajab masti wa suroor ka alam cha gaya aur sab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke zaat-e-paak ki bulandi dekh kar hairan rehgaye.

6) Zubaan Se Farmate Hi Hafiz Hojana :

Haafiz Adbul Rahim Khan Sahab Rehmani bade mukhlis asthana wa pa bandh shara the.
3-4 din thair kar wo khidmat murshid karte phir wapas apne ghar ajate the. Ek din un ko ye tamana hui ki agar cha 32 bars ki umar ho chuki agar peer-o-murshid dua kardein to main Quran hifz karlu mauka pakar arz kiya ki mujhko tammana-e-hifz Quran hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) sun kar khamosh rahein thodi der baad buland awaaz se is tarah pukar ki Haafiz Abdul Rahim Imamabadi Yahan aoo main fauran hazir hua to mujhey ruksat ki ijazat de di aamanabad pahuch kar jab maine tilawat Quran ki to maine kya dekha ki mujhe pura Quran Sharif hifz ho gaya hai aur main ache se ache haafiz se bhi acha haafiz hogaya sirf Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke zaban se Haafiz nikal ne ki barkat se.

7) Murde Ko Zinda Kardena :

Ek bar ek Hindu raja tha us ke koi aulaad nahi thi who har kaam panditon se puch kar karta tha bahut yagna kiye mandiron me matha teka magar kuch hasil na hua,usne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bare main kafi sun rakha tha ek din wo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main aya aur un se badi reham dili se aulad ke liye darkhast ki, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne usko dua di ki ja tujhe ladka hoga aur ek batasha(sweet) diya aur kaha ki ise apne aurat ko khila dena aur takid ki, ki wo panditon ke chakkar main na pade aur bache ko Allah ke bharose chod de Allah ke karam se raja ke ghar ladka hogaya magar raja ki biwi ne panditon ka chakkr nahi choda, wo hark am panditon se puch kar karti, dhire dhire bache ki tabiyat kharab hone lagi aur ek time aya ki wo marne ke kareeb agaya raja ne har tarah se illaj karaya magar koi fayda nahi hua, akhir thak har kar raja ko phir Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke khidmat me apne bache ko lana pada, jab raja apne bache ke sath Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main pahucha to bachha dum tod chuka tha, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki ab kuch nahi ho sakta un hone use kaha ki jab mana kiya tha to panditon ke chakkar main kyun pada wo raja aur rani bahut roye aur mafi mangne lage Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko un par reham aya aur un hone us bache ke sar par
"Allah Shafi Allah Kafi" padh kar ungli phir de aur wo bacha zinda hogaya(subanAllah)
aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne raja se farmaya ki ye baccha 12 saal tak zinda rahega phir marjayega, aur aisa hi hua.

8) Abe Zam Zam Ka Pani :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka ek mureed the wo ek baar haj karne gaye, ek din wo abe zam zam ke paas gaye aur apna lota dal kar paani bahrne lage ki achanak unka lota unke hath se chut gaya aur abe zam zam ka pani jahan se nikal raha tha us main gir gaya, aap bahut mayus hui aur wahan se wapas chale aye jab aap ki wapsi aapne watan hui haj karne ke baad to ek din aap apne pir sahib ke bargah main hazir huey.
Shayad Namaz ka waqt ho gaya tha aap ne wazu ke liye kuan(well) main balti dali aur jab balti upar ghasti to jo dikha usse aap hairan hogaye aap ne apna wahi lota dekha jo wahan abe zam zam me gir gaya tha, ye lota lekar mureed fauran Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke paas pahuche aur sari baat bataye, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unki baat suni aur farmaya ki yeh kuan(well) ka pani abe zam zam se juda hua hai. Main is baat ka gawah bhi hun maine khud is mubarak pani ko piya hai beshak is paani main aur abe zam zam ke pani main koi farak nahi lagta..

9) Dr. Allama Iqbal Sahab Mulakat Ke Liye Aye:

Vazir Bhopal Munshi Imtiyaz Ali Fazl-E-Rehmani ki kothi lucknow main hai wahan unki mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab se hui. Munshi Imtiyaz Ali sahab astane Fazl-E-Rehmani arahe thai Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) se mulakt ke liye Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab ne bhi shoukh zahir kiya astane aliya ane ka bawaqt mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab ne Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) se kaha ki Huzoor-E-Aali koi aisa wazifa bataye jise mujhe Huzoor Purnoor Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki ziyarat naseeb hojaye, Is par Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) ne farmaya ki walihana mohabbat khud sabab didar hai, Tum apne main wo bat paida karo ki Aka-E-Namdar Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki khud nigahain karam tumhare taraf uthjaye yahi sab se bada wazifa hai.

Fanay-e-Kamil: Karibul wafat 21wi ko 2 baje din ko Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne logo se farmaya ke mera intekal(death) hogaya hai hamari janaza ki namz padho aur agar koi na padhe to main khud hi padhleta hun. Isi ko Fana aur Baka Bhi kehte hai ki apni namaz-e-janaza khud padhana. Bataye apni maut ka waqt kaun jaan sakta hai pehle se magar qurban jaye zaate Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki Allah ne har raz pehle se hi khol diye the.


Tarike Wafat :

22 Rabi-ull-awwal 1313 hijri Juma ke roz 3 baje.Hazerein(Mureed) ka majma laga hua tha kasir tadad main. Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko aakhein(eyes) khol kar dekha phir unka hath apne hath main liya aur bahut kaske 2-3 minute tak pakde rahein kuch deir baad aap ne phir Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko dekha aur haath chod diya aur ankhein bandh kar liye. Jis Tarah Allah Ke habib Hazrat Mohammad Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) apni ummat ke liye pareshaan rehtein aur har dum Allah ki bargah main apni ummat ki bakshish ki dua mangte rehte. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka bhi yahi haal tha wo apne mureedon aur apne azizon ke liye hamesha isi tarah pareshan rehtein the. Abhi unke wisal ke liye kuch ghante baki the dophar ke 3:30 baj rahe the. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne apne dast(hands) mubarak uthakar nihayat khuzu se Allah ki bargah main dua farmaye ki Allah Pak Jalle Shanahu mere jumla mureedin, dost ahbaab, aziz wa akarib ko hamesha kush rakhe aur Allah sab ko khana khilata rahein, aur sab ka khatma bakhair ho(Aamin). Dhire dhire din dhalta gaya aur shyam hone lagi logo ki bhid badhti rahi, log zikr ilahi main mashgul the har jagah mano lag raha tha ki Allah ki rehmat jhama jham bars rahi hai, aur akhir wo waqt agaya magrib ka waqt ja chukka tha, dekhte hi dekhte Allah ka khas bande ki rooh ne is jism khaki ko chod diya aur alam-e-bala ki taraf parwaz kardi (In-na-Lill-lahe- wa-inna-ilaihe-rajioon).

Assar Qubuliyat Wa Rehmat :

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke parda is duniyae fani se hochuka tha Unke jism akdas se aise khusbu arahi thi jise alfazon main bayan nahi kiya ja sakta jis kisi ka kapda apke jism akdas se chu jata usme bhi khushbu ane lagti. Aap ke kaul par amal kartein hue har kisi ne apne dil par jabar kiya tha.
Agar koi chilla kar rota to fouran behosh ho jata. Jo log khamosh the unkey ankhon se ansoon jari the, har koi gum me mubteila tha chahe wo hindu ho ya musalman har kisi par qayamat barpa thi anwar aur tajaliyaat ka kya zikr kiya jaye goya ek noorani chadar sab ko dhanke hue thi. Har taraf zikr-e-quran aur kalimaat horahe the aisa lag hi nahi raha tha Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko dekh kar ki un ki maut hui hai balki aisa lag rahaa tha ki Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) har roz ki tarah aaram farmarahe hai. Aap Ka gusl sunnat ke mutabit karwayagaya. Janaza uthaya gaya khanda lagana duswar tha har jagah bhid ka jamghat tha, jisko bhi ye sharf mila such much nasib dar hai. Namaze janaza Peer Zada Hazrat Maulana Shah Ahmed Miyan(rahmatullah alaih) Ne padhaye thi. Janaza jaise hi gusl ke baad bahar nikla to jo log kandha diye huey they sab logo hairaan hogaye sab ke khande se janaza upar uth gaya tha sirf Peer Zada Hazrat Maulana Ahmed Miyan(rahmatullah alaih) ka khanda ek taraf se janaze ko laga tha aur baki taraf se kuch gaibi logon ne janaze ko khande pe leliya tha. Aisa malum hota hta ki farishtey ya Allah ki koi khas makhluk unkey janaze ko khanda de rahein hai. Phir aap ki Mazare akdas tayyar ki gayi aur akhir main aap ke jism akdas ko dufn kar diya gaya. Aap ka Urs-e-pak 21 aur 22 rabi-ull-awwal ki chand ki tarikh ke hisab har saal khub dhum se machaya jata hai.

Aap ki Mazar Sharif par pahunchne ke liye har kisi ko kanpur station jo (U.P) main hai utarkar kar Bus stad pe jakar Hardoi yaa Gujmuradabad Sharif ke liye bus pakadane hogi.

Kanpur Se 2:30 ghante lagte hai Hazrat ki mazaar Sharif tak pahuchne main, Makhanpur Sharif Jahan Badiuddine Zinda Shah Madar(rehamtullah alaih) Ki mazaar-e-akdas hai 1 ghanta lagta hai, Gujmuradabad sharif sirf 40 km hai. Aane wale Lucknow Bus Stand Se bhi aa sakte hai wahan se bhi Bus Yahan Roz ati hai.
Mere Maniye to main to kehta hun ki har kisi ko ek baar zaroor Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke mazar-e-akdas par hazri deni chahiye. Is Darbar ki azmat to sirf dekh kar hi jaani ja sakti hai. Main aap sab logo ko dawat deta hun ki aap log ek baar jis masjid main hamare pyare Nabi Huzoor Mohammad(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) aur Panjatan Pak ka ghara aye hai us jagah aap log nahi ana chahenge aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne to khud hi farma diya hai ki is masjid main job hi kadam rakhega uski akhirat bakhair hogi, to kaun hai aaj apni akhirat ko bakhair karna nahi chahta hai.

Doston ye sari baatein padne ke baad to aap log jaan hi chuke honge ki kaisi nirali zaat-e-pak hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki kis tarah aap logo pe nazre karam kiya karte aur din-e-islam ko Phailate(spread) rahein hai aur sunniyat ka jhanda gadte rahein, Hum sab ko chaheye ki aise bulandi rakhne wale buzurg se jitna zyada ho sake ishq karein aur apni akhirat sudhar lain. Is hakir fakir jo khandane Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka ek adna sa ghulam hai use ye sharf hasil hua ki wo is azim-o-shan buzurgi wale buzurg ke bare main kuch likh sake waise mere itne aukaat to nahi hai ki main unke wakya aur tarifaat bayan kar saku par jitney bhi taufik mujhe mili sab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka hi karam, Upar likhe huey bahot se wakyat aur tafsiraat maine apne pir-o-murhid aur bade nana Hazrat Maulan Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) jo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke pote hai unki likhi hui kitaab "Rehmat Wa Neemat" aur "Afzale Rehmani se liya hai.

Mere Mamu Janab Pappu Miyan Jo Hazrat Maulana Shah Mohammed Miyan Sahab(rehmatullah miyan) Ke Betain Hai unse bhi kafi madad li hai ye biography likhne main.

Allah unke martabe ko aur buland karey aur unko rohani aur jismani dono taraki se nawaze(aamin) aur isi tarah silsila-e-rehmani ko pehlane ka kam leta rahey.

Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman(rehmatullah alaih) ki zaat ko badnam karne ke liye bht se logon ne unka nam se bht se galat kitabain chapwa ke bati hai jo ki galat hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman (rehmatullah alaih) ke zaat pak par mere Pir Sahab Hazrat Bhole Miyan(rehmatullah alaih) aur mere Nana Hazrat Maulna Shah Mohammed Miyan Sahab(rehmatullah alaih) ne apni jindagi main bahut si kitab likhin hai in kitabon ke nam main niche deraha.

Khandani Kitabain:

1) Rehmat wa Nemat 2) Afzale Rehmani 3) Tirmadul Wahabin 4) Kasauti, 5) Gulsahane Faiz Mudam, 6) Tabsira Bartardeday Tazkirah, yeh kuch naam hai jo silsile Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ke kitaabain hai .


Agar mujh nachiz se upar likey hui baton main koi galti ho gayi ho to Allah Pak se dua hai ki wo apne habib ke sadke main mujhe maaf Karain (aamin). Agar aap log aur kuch jana chahte hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke barein main ya kuch aur baat puchne chahte hai to mujhe mail kar saktein hai mera email id hai : mazi_24fps@yahoo.co.in.

Allah Hafiz
Mazhar Rehmani.

(Nati Hazrat Mohammed Miyan Sahab)

Hazrat Maulana Shah Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi (rehmatullah alaih) ki mazar sharif ki agar koi ziyarat karna chata hai to usko Kanpur Station ya Lucknow Station ke Bus Depot se bus miljayegi wahan se lagh bhag 90km dur hai .

Hazrat Badiuddine Zinda Shah Madar(radiallahu anhu) jinke ke Mazar Sharif Makhanpur main hai wahan se hamre Khanka 40 km dur hai.

The Hamd sharif & Mankabat sharif which is playing in the background leaving "Ay Saba Mustafa Se Kehdena" is read by my very close frnd Syed Muhammad Ali Farrukh Hashmi Qadri Fazl-e-Rehmani who is from karachi pakistan.

.Agar mujh nachiz se upar likey hui baton main koi galti ho gayi ho to Allah Pak se dua hai ki wo apne habib ke sadke main mujhe maaf Karain (aamin). Agar aap log aur kuch jana chahte hai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke barein main ya kuch aur baat puchne chahte hai to mujhe mail kar saktein hai mera email id hai : mazi_24fps@yahoo.co.in.

Allah Hafiz
Mazhar Rehmani.

http://www.hazratfazlerehman.com/
As emailed to me by brother Mazhar Rehmani

 

::: Whats New:::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Dargah in Khuladabad
Register for Weekly Newsletters
Ask a Mufti Online
Team Visits
Video Section
Forums
Medical Advantages of Sajda
More Dargahs of the world
Visiting Graves
Purification of Soul
Pious Words
Mother or the Father
12 Foods of Prophet (Peace and Blessings be Upon him)
Secrets of Suraah
     
  
Women Sufi India
Ants Speak
Dates - Khajoor
Uhud
Hadees
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allah's Pharmacy - Must Read Article
Islamic Personalities
800 Year Old Quran
Prophets Gallery
Imp Of Namaaz
Jannatul Baqi
Prophets Mazaars
Kaaba & Qiswa
Women Sufis
Masjid Al Aqsa
Islam in China
Islamic Calendar
In Media
 
   
::: Gallery :::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
  
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
Sakhi Saeeda
About Us
  

mission
history
monuments
personalities
why ajmer
miracles
functions
khadims
arrival
nazar niaz
karamaats
urs
ajmer blasts

 

::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
  
Magician
Camels
Grave
Majzoob
News of Unseen
Corpse Alive
Blind Vision
Benficial Leson
Other Miracles
 

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
 
  

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Reproduce Only with Permission and Acknowledgments : Email us at Indiansunni@gmail.com
Translate Website :
[Baqarah 2:157] These are the people upon whom are the blessings from their Lord, and mercy; and it is they who are on guidance.
Official Letters from Major dargahs : Aulia-e-hind.com Banners at Major dargahs : Achievements of Site : Meet the Team
 
About Us     Contact Us    Support Us    Contribute    Advertise     Search     Email     FAQ's     Forum


Intro
   Almighty    Islam    Prophet    Uhud    Quran    Hadees    Caliphs    Imams    Aulia Allah    Sufism    History N Facts     Islamic Women
Ziyarah    Indian Dargahs     International Dargahs     Chishti    International Masjids    Modern Miracles
   
Qiswa
   Qayamat    Namaaz    Jannat & Jahannum    Important Sunni Dates     Harut & Marut    Yajooj & Majooj    Sacred Sites
   

Click here to make Aulia-e-hind.com your default homepage
-------------------------------------------------------------------
RSS    SMS    Search    Email    Resource    FAQ's    Home    
Partners    Disclaimers    Forum


       
  

Now Add New Dargahs, Upload Pictures, Ask Questions, Share Articles, Give Suggestions and Complains
Just by registering on our
Forums

Also Visit
kgn786.com  ::: sayedalimiradatar.com ::: hazratfazlerehman.com ::: sunnilive.com

This website is a privately maintained Information site and does not have any Official connection or
Affiliation whatsoever to any Dargah / Trust Or any Related Organizations, nor is it endorsed or supported by any of them in any way.

Much of the content on this site was sent by other users or by members,.
Aulia-e-hind.com makes no promises or representations about its accuracy, performance, quality, or content.


hit counter

Site Desinged and Hosted by Softech Solutions
http://www.softechsol.com


Site optimized for Internet Explorer 5.5 and above and Mozilla Firefox 1.0.4 ,
Resolution 1024*780